Jis
semat bhi dekhun nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaan ye koi tum saa
hai ke tum ho
Yeh khuwaab hai khushbu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
Yeh
dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
Is dil ki saa'at mein kayi
rung hain larzaan
Main hoon ke koi aur hai duniyaa hai ke tum ho
Dekho
yeh kisi aur ki aankhein hain ke meri
Dekhu yeh kisi aur ka chehraa hai ke
tum ho
Yeh umr-e-gurezaan kahin thehre to yeh jaanun
Har saans mein
mujhko yeh lagta hai ke tum ho
Har bazm mein mauzu-e-sukhan dil zadgaan
kaa
Ab kaun hai sheerin hai ke lailaa hai ke tum ho
Ek dard ka phailaa
hua sahaara hai ke main hun
Ek mouj mein aaya hua daryaa hai ke tum ho
Woh
waqt naa aaye ke dil-e-zaar bhi sochay
Is shehar mein tanha koi hamsa hai
ke tum ho
Aabaad hum aashuftaa saron se nahin maqtal
Yeh rasm abhi
shehar mein zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-'Faraz' itni bhi taufeeq kisse
thi
Hum ko Gham-e-hasti bhi gavaara hai ke tum ho
Sent By: Sadia Marium