apni yadoon ki sadaown say bula kar dekhoo
main gea waqt nahi hoon kay phir aa bhi na sakoon
mjh say koi rothy to ho jayee gi bohat mushkil
main wo khod sar hoon kisi ko mana bhi na sakoon
Popo
Is mukaam pe aa k tujhay bicharnay ki soogi
Aab kahin aa k sanwray thay hamaray din
Samreen Khan
nikalta hua suraj roshni de aap ko
khiltay huey phool khushbu dain aap ko
hum to kutch dainay k kabil hi nahin
dainay wala zindagi de aap ko
Samreen Khan
kahan ansoon ki yeh sohat ho gi
naye loog hoon gay nayi baat ho gi

main har haal mian muskurata rahoon ga
tumhari muhabat agar sath ho gi

chargoon ko ankhoon main mehfooz rakhna
bari door tak raat hi raat ho gi

parishan hain hum bhi parishan ho tum bhi
chaloo mehkaday main wahein baat ho gi

chargoon ki lo say sitaroon ki zo tak
tumhain main miloon ga jahaan raat ho gi

jahan wadiyoon main naye phool aye
humri tumhari mulqat ho gi

sadaoon ko alfaaz milnay na payein na badal
ghirein gay na barsat ho gi

musafir hain hum bhi muafir ho tum bhi
kisi more per phir mulaqat ho gi
Ayesha Shafiq
JIN KO AZIZ THEY HUM ZINDAGI KI TARAH ! !
AAJ PASS SAY GUZAR GEY AJNABI KI TARAH
By: N / A
Bhooloon ga agar tujay tou ji na paoon ga
yaad bhi rakhaa agar tou mar jaoon ga
By: Hammad
Ghum hi kuch aisa tha keh roya tera mohsin warna
Ghum chupa kar ussay hanstay howay aksar daikha
By: Brain Collection
Kub tuk kisi kay soog mein roein gay baith kar
Hum khud ko kitni baar yeh samjha kar ro parey
By: Brain Collection
Uttha kar choom li hein chand murjhaye howi kaliyan
Tum na aye tou yun jishan-e-baharan kar liye mein nay
By: Brain Collection
Aab tou is rah sai wo shaksh guzarta bhi nahin
Kis ummed pai darwazay sai jhankey koi
By: Brain Collection
Aa gayi thi ik din tanhaye bhi jazbaat mein
aank sai bhi chand boondein gir pari barsaat mein
By: Brain Collection
Laakh chaha tha keh ussay bhool jaoon Qateel
Hoslay apni jaga hein, baibasi apni jaga
By: Brain Collection
Zehr daitai hein tou kehtey hein peena ho ga
jub pi laitay hein tou kehtey hein jeena ho ga
By: Brain Collection
Jinhein bhulaney mein yaro, barey zamaney lagay
Jub dil dukha tou wohi loog yaad aney lagey
By: Brain Collection
Mujay tumhari judai ka koi ranj nahin
Mere khayal ki duniya mein mere paas ho tum
By: Brain Collection
Khabhi arsh per khabhi farash per, khabhi un kay dar khabhi dur badar
ghum-e-Aashique tera shukria, mein kahan kahan sai guzar gaya
By: Brain Collection
Tuj sai bichar kar na daikha gaya kisi ka milap
Urra diye sub parinday shajar per baithey howey
By: Brain Collection
Khusboo na gaye ghar sai na yadoon ki bai rukhi
Zalim kay saray naqash baray paidaar they
By: Brain Collection
Samaj rahey ho judai sai baat khatam howi
Abhi kahan abhi dil ka bahalna baqi hai
By: Brain Collection
Waqat-e-rukhsat un ka bhi romaal bheega howa tha
Rasta daitay howey hamary bhi aansoo nikal paray
By: Brain Collection
Faslay aisey bhi hoon gay yeh khabhi soocha na tha
Samaney baitha tha mere aur wo mera na tha
By: Brain Collection
Shikwa kaantoon sai kyon ker ho zakham khaney ka
Phool chunaney ki saza paye hai mein nay
By: Brain Collection
Ujalay apni yadoon kay hamarey saath rehnay do
na janey kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye
By: Brain Collection

You can send your poetry for any of the above categories at webmaster@brain.com.pk
Please do mention your name and email address along with your choice.

For more information, please write at webmaster@brain.com.pk

Back to Poetry Page

-
© - 2002 - Brain Ltd. - All Rights Reserved